My Favorite Hindi Songs Lyrics

Kaha Tak

Kahaan Tak Yeh Man Ko Andhere Chhalengey
Udaasi Bhare Din Kabhi To Dhalengey

Kabhi Sukh Kabhi Dukh Yehi Zindagi Hai
Yeh Patjhad Ka Mausam Ghadi Do Ghadi Hai
Yeh Patjhad Ka Mausam Ghadi Do Ghadi Hai

Naye Phool Kal Phir Dagar Mein Khilengey
Udaasi Bahre Din Kabhi To Dhalengey

Bhaley Tez Kitna Hawa Ka Ho Jhonka
Magar Apne Man Mein Tu Rakh Yeh Bharosa
Magar Apne Man Mein Tu Rakh Yeh Bharosa

Jo Bichhde Safar Mein Tujhe Phir Milengey
Udaasi Bhare Din Kabhi To Dhalengey

Kahe Koi Kuch Bhi Magar Sach Yehi Hai
Lahar Pyar Ki Jo Kahin Uth Rahi Hain
Lahar Pyar Ki Jo Kahin Uth Rahi Hain

Usey Ek Din To Kinare Milengey
Udaasi Bhare Din Kabhi To Dhalengey

Kahaan Tak Yeh Man Ko Andhere Chhalengey
Udaasi Bhare Din Kabhi To Dhalengey


Hey re Kanhaiya

he re kanhaiya kisako kahega tu maiya
ek ne tujhako janm diya re ek ne tujhako paala
kanhaiya kisako kahega

maani maanataayein aur devi-dev puuje pir sahi devaki ne
duudh mein nahalaane ka god mein khilaane ka
sukh paaya yashoda ji ne
ek ne tujhako janm diya ek ne jivan sambhaala
kanhaiya kisako kahega

marane ke dar se bhej diya dhar se devaki ne re gokul mein
bina diye janm yashoda bani maata tujhako chhupaaya aanchal mein
janm diya ho chaahe paala ho kisi ne bhed ye mamata na jaane
koyi bhi ho jisane diya ho pyaar maan ka man to maan usi ko maane
ek ne tujhako di hain ye aankhein ek ne diya ujaala
kanhaiya kisako kahega

Aa chal ke

Aa chal ke tujhe, main le ke chaluun
ik aise gagan ke tale
jahan gam bhii na ho, aansoo bhi na ho
bas pyaar hii pyaar pale

Aa chal ke tujeh main le ke chaluun
ik aise gagan ke tale
jahan gam bhi na ho, aansoo bhi na ho
bas pyaar hi pyaar pale
ik aise gagan ke tale

Suraj ki pahali kiran se, aashaa kaa savera jaage (2)
chandaa kii kiraN se dhul kar, ghanaghor andhera bhaage (2)
kabhi dhuup khile kabhi chhaav mile
lambii sii Dagar na khale
jahan gam bhi na ho, aansoo bhi na ho
bas pyaar hi pyaar pale
ik aise gagan ke tale

Jahan door nazar daud aae, aazaad gagan laharaae laharaee (2)
jahan rang birange panchhi, aashaa kaa sandesaa laayen (2)
sapano me pali hansati ho kali
jahan shaam suhaani dhale
jahan gam bhi na ho, aansoo bhi na ho
bas pyaar hi pyaar pale
ik aise gagan ke tale

Sapano Ke aise jahan mein jahan pyaar hi pyaar khila ho
hum jaa ke vahan kho jaaye shikuva na koyi ghila ho
kahin bhair na ho koyi ghair na ho
sab milke chalte chale
jahan gam bhi na ho aansoo bhi na ho
bas pyaar hi pyaar pale
ik aise gagan ke tale
aa chal ke tujeh mein leke chaluun
ik aise gagan ke tale
jahan gam bhi na ho aansoo bhi na ho
bas pyaar hi pyaar pale
ik aise gagan ke tale

Tum Bhi chalo

Tum Bhi chalo hum bhi chale
chalti rahe zindagi
Na Zameen manzil na aasman
zindagi hai zindagi

Tum Bhi chalo hum bhi chale
chalti rahe zindagi
Na Zameen manzil na aasman
zindagi hai zindagi

Peechhen dekhe na kabhi mudke raahon mein
Jhoome mera dil tumhe leke baahon mein
Dhadkon ki jubaan nit (daily/always) kahe daastan
Pyar ki jhilmil chhaon mein
Palti rahe zindagi

Tum Bhi chalo hum bhi chale
chalti rahe zindagi

Behten chale hum masti ke dharon mein
Goonje yehi dhun sadaa dil ke taaron mein
Ab ruke na kahin pyar ka karwa
Nit nayi ruth ke rang mein
(??) rahe zindagi

Tum Bhi chalo hum bhi chale
chalti rahe zindagi
Na Zameen manzil na aasman
zindagi hai zindagi

Tum Bhi chalo hum bhi chale
chalti rahe zindagi

Chehra Hai Ya

Ho, Chehra Hai Ya Chand Khila Hai
Zulf Ghaneri Shaam Hai Kya
Saagar Jaisi Aankhon Vaali
Ye To Bataa Tera Naam Hai Kyaa

Tu Kya Jaane Teri Khaatir
Kitna Hai Betaab Ye Dil
Tu Kya Jaane Dekh Raha Hai
Kaise Kaise Khwaab Ye Dil
Dil Kehta Hai Tu Hai Yahaan To
Jaata Lamha Tham Jaaye
Waqt Ka Dariya Behte Behte
Is Manzar Mein Jam Jaaye
Toone Deewana Dil Ko Banaaya
Is Dil Par Ilzaam Hai Kya
Saagar Jaisi Aankhon Vaali
Ye To Bataa Tera Naam Hai Kya...

Ho, Aaj Maein Tujhse Door Sahi
Aur Tu Mujhse Anjaan Sahi
Tera Saath Nahin Paaun To
Khair Tera Armaan Sahi
Ye Armaan Hain Shor Nahin Ho
Khamoshi Ke Mele Hon
Is Duniya Mein Koi Nahin Ho
Hum Dono Hi Akele Hon
Tere Sapne Dekh Raha Hoon
Aur Mera Ab Kaam Hai Kya
Saagar Jaisi Aankhon Vaali
Ye To Bataa Tera Naam Hai Kya...

Neele neele ambar par

Neele neele ambar par chaand jab aaye
Pyaar barsaaye humko tarsaaye
Aisa koi saathi ho aisa koi premi ho
Pyaas dil ki bujha jaaye

Neele neele ambar par chaand jab aaye
Pyaar barsaaye humko tarsaaye
Aisa koi saathi ho aisa koi premi ho
Pyaas dil ki bujha jaaye

Oh oonche oonche parvat jab choomte hain ambar ko
Pyaasa pyaasa ambar jab choomta hai saagar ko
Oonche oonche parvat jab choomte hain ambar ko
Pyaasa pyaasa ambar jab choomta hai saagar ko
Pyaar se kasne ko baahon mein basne ko
Dil mera lalchaaye koi to aa jaaye
Aisa koi saathi ho aisa koi premi ho
Pyaas dil ki bujha jaaye

Neele neele ambar par chaand jab aaye
Pyaar barsaaye humko tarsaaye

Oh thande thande jhonke jab baalon ko sehlayein
Tapti tapti kirnen jab gaalon ko chhoo jayein
Thande thande jhonke jab baalon ko sehlayein
Tapti tapti kirnen jab gaalon ko chhoo jayein
Saanson ki garmi ko haathon ki narmi ko
Mera mann tarsaaye koi to chhoo jhaaye
Aisa koi saathi ho aisa koi premi ho
Pyaas dil ki bujha jaaye

Neele neele ambar par chaand jab aaye
Pyaar barsaaye humko tarsaaye

Hey chham chham karta saawan boondon ke baan chalaaye
Satrangi barsaaton mein jab tan man bhiga jaaye
Chham chham karta saawan boondon ke baan chalaaye
Satrangi barsaaton mein jab tan man bhiga jaaye
Pyaar mein nahaane ko doob hi jaane ko
Dil mera tadpaaye khwaab jaga jaaye
Aisa koi saathi ho aisa koi premi ho
Pyaas dil ki bujha jaaye

Neele neele ambar par chaand jab aaye
Pyaar barsaaye humko tarsaaye
La la la..
Tumbin jaaon kahan
(Tumbin jaaon kahan, tumbin jaaon kahan
Ki duniya mein aake kuch na phir
Chaaha kabhi tumko chaahke) -2

Tumbin

Ha ha ha ha ha ha ha ha -4

Reh bhi sako gaye kaise, ho ke mujhse juda
Phat jaaye gi deewarein sun ke meri sada
Aana hoga tumhe mere liye saathi meri suni raha ke
Tumbin jaaon kahan..

Kitni akeli si pehle thi yahi duniya
Tumne nazar jo milayi bas gayi duniya
Dil ko mili jo tumhari lagan
Diye jal gaye meri aah se
Tumbin jaaon kahan..
beqaraar dil
beqaraar dil, tu gaaye jaa
Khushiyon se bhare vo taraane
jinhen sun ke duniyaa jhoom uThe
aur jhoom uThe dil deevaane
beqaraar dil, are tu gaaye jaa

ki: raag ho koi milan kaa, sukh se bhari sargam kaa
yug-yug ke bandhan kaa, saath ho laakhon janam kaa
aise hi bahaaren gaati rahen, aur sajte rahe veeraane
jinhen sun ke duniyaa jhoom uThe
aur jhoom uThe dil deevaane

Ajnabi

Ajnabi tum jaane pehchaane se lagte ho -2
Yeh badi ajeeb si baat hai
Yeh nayi nayi mulaaqaat hai
Phir bhi jaane kyon
Ajnabi tum jaane pehchaane se lagte ho

Tumne kabhi pyaar kiya tha kisi raahi se -2
Tumne kabhi wada kiya tha kisi saathi se
Na woh pyaar rahaa, na woh baat rahi
Phir bhi jaane kyon, ajnabi
Tum jaane pehchaane se lagte ho
Ajnabi

Dil mein rahe aur hamaara dil tod diya -2
Saath chale, mod pe aake hamein chhod diya
Tum ho kahaan, aur ham kahaan
Phir bhi jaane kyon, ajnabi
Tum jaane pehchaane se lagte ho
Yeh badi ajeeb si baat hai
Yeh nayi nayi mulaaqaat hai
Phir bhi jaane kyon
Ajnabi tum jaane pehchaane se lagte ho
Ajnabi..

ye dil naa hotaa

ye dil naa hotaa bechaaraa, kadam naa hote aawaaraa
jo khoobasurat koee apanaa, humasafar hotaa

sunaa jab se jamaane hain bahaar ke
hum bhee aaye hain raahee ban ke pyaar ke
koee naa koee bulaayegaa, khade hain hum bhee raahon me

are, maanaa us ko naheen main pahachaanataa
bandaa us kaa pataa bhee naheen jaanataa
milanaa likhaa hain to aayegaa, khade hain hum bhee raahon me

us kee dhoon mein padegaa dukh zelanaa
sikhaa hum ne bhee pattharon se khelanaa
soorat kabhee to dikhaayegaa, pade hain hum bhee raahon me

Thandi Hawa

Thandi Hawa Yeh Chandni Suhani
Ae Mere Dil Suna Koi Kahani
Lambi Si Ek Dagar Hai Zindagani
Ae Mere Dil Suna Koi Kahani

Saare Haseen Nazare
Sapno Main Kho Gaye
Sar Rakhkhe Aasmaan Pe
Parbat Bhi So Gaye
Mere Dil Tu Suna Koi Aisi Daastaan
Jisko Sunkar Milein Chaen Mujhe Meri Jaan
Manzil Hain Anjani Thandi Hawa…

Aise Main Chal Raha Hoon
Pedon Ki Chhaon Mein
Jaise Koi Sitara
Badal Ke Gaaon Mein
Mere Dil Tu Suna Koi Aisi Daastaan
Jisko Sunkar Milein Chaen Mujhe Meri Jaan
Manzil Hain Anjani Thandi Hawa…

Thodi Si Raat Beeti
Thodi Si Rah Gayee
Khamosh Rut Na Jaane
Kya Baat Kah Gayee
Mere Dil Tu Suna Koi Aisi Daastaan
Jisko Sunkar Milein Chaen Mujhe Meri Jaan
Manzil Hain Anjani Thandi Hawa…
Zindagi ...kaisi hai paheli
Zindagi ...kaisi hai paheli, haaye
Kabhi to hansaaye kabhi ye rulaaye
Zindagi...

Kabhi dekho man nahi jaage peechhe peechhe sapno ke bhaage
Ek din sapno ka raahi chalaa jaaye sapno ke aage kaha
Zindagi...

Jinhone sajaaye yaha mele sukh-dukh sang-sang jhele
Wahi chunkar khaamoshi yu chali jaaye akele kaha
Zindagi...

Aage bhi jaane na tu

Aage bhi jaane na tu, peechhe bhi jaane na tu
jo bhi hai, bas yahi ek pal hai
Aage bhi jaane na tu…

Anjaane saayo ka raaho mein dera hai
Andekhi baaho ne ham sabko ghera hai
Ye pal ujaala hai baaqi andhera hai
Ye pal gawaana na ye pal hi tera hai
Jeene waale soch le yahi waqt hai kar le puri aarzoo
Aage bhi ...

Is pal ke jalwo ne mehfil sawaari hai
Is pal ki garmi ne dhadkan ubhaari hai
Is pal ke hone se duniya hamaari hai
Ye pal jo dekho to sadiyo pe bhaari hai
Jeene waale soch le yahi waqt hai kar le purii aarzoo
Aage bhi ...

Is pal ke saaye mein apna thhikaana hai
Is pal ke aage hi har shae fasaana hai
Kal kisne dekha hai kal kisne jaana hai
Is pal se paayega jo tujhko paana hai
Jeene waale soch le yahi waqt hai kar le puri aarzoo
Aage bhi ...

By Pankaj Mistry

Comments

Tauseef said…
Hi, you've posted a good collection. most of these lyrics have a soothing effect. keep on.

http://www.tunedlyrics.com

Popular posts from this blog

SEO Campaign-Towards first page of Google

संगीत से स्वास्थ्य

Understand Your Computer Components